dil gaya raunaq-e-hayaat gai | दिल गया रौनक़-ए-हयात गई - Jigar Moradabadi

dil gaya raunaq-e-hayaat gai
gham gaya saari kaaynaat gai

dil dhadakte hi phir gai vo nazar
lab tak aayi na thi ki baat gai

din ka kya zikr teera-bakhton mein
ek raat aayi ek raat gai

teri baaton se aaj to waiz
vo jo thi khwaahish-e-najaat gai

un ke behlaaye bhi na bahla dil
raayegaansee-e-iltifaat gai

marg-e-aashiq to kuchh nahin lekin
ik maseeha-nafs ki baat gai

ab junoo'aap hai garebaan-geer
ab vo rasm-e-takallufaat gai

tark-e-ulft bahut baja naaseh
lekin us tak agar ye baat gai

haanmaze loot le jawaani ke
phir na aayegi ye jo raat gai

haanye sarshaariyaani ki
aankh jhapki hi thi ki raat gai

nahin milta mizaaj-e-dil ham se
ghaliban door tak ye baat gai

qaid-e-hasti se kab najaat jigar
maut aayi agar hayaat gai

दिल गया रौनक़-ए-हयात गई
ग़म गया सारी कायनात गई

दिल धड़कते ही फिर गई वो नज़र
लब तक आई न थी कि बात गई

दिन का क्या ज़िक्र तीरा-बख़्तों में
एक रात आई एक रात गई

तेरी बातों से आज तो वाइज़
वो जो थी ख़्वाहिश-ए-नजात गई

उन के बहलाए भी न बहला दिल
राएगांसई-ए-इल्तिफ़ात गई

मर्ग-ए-आशिक़ तो कुछ नहीं लेकिन
इक मसीहा-नफ़स की बात गई

अब जुनूंआप है गरेबां-गीर
अब वो रस्म-ए-तकल्लुफ़ात गई

तर्क-ए-उल्फ़त बहुत बजा नासेह
लेकिन उस तक अगर ये बात गई

हांमज़े लूट ले जवानी के
फिर न आएगी ये जो रात गई

हांये सरशारियाजवानी की
आंख झपकी ही थी कि रात गई

नहीं मिलता मिज़ाज-ए-दिल हम से
ग़ालिबन दूर तक ये बात गई

क़ैद-ए-हस्ती से कब नजात 'जिगर'
मौत आई अगर हयात गई

- Jigar Moradabadi
2 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jigar Moradabadi

As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jigar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari