ab to ye bhi nahin raha ehsaas | अब तो ये भी नहीं रहा एहसास - Jigar Moradabadi

ab to ye bhi nahin raha ehsaas
dard hota hai ya nahin hota

ishq jab tak na kar chuke rusva
aadmi kaam ka nahin hota

toot padta hai dafa'atan jo ishq
besh-tar der-paa nahin hota

vo bhi hota hai ek waqt ki jab
maa-siwaa maa-siwaa nahin hota

haaye kya ho gaya tabi'at ko
gham bhi rahat-fazaa nahin hota

dil hamaara hai ya tumhaara hai
hum se ye faisla nahin hota

jis pe teri nazar nahin hoti
us ki jaanib khuda nahin hota

main ki be-zaar umr bhar ke liye
dil ki dam-bhar juda nahin hota

vo hamaare qareeb hote hain
jab hamaara pata nahin hota

dil ko kya kya sukoon hota hai
jab koi aasraa nahin hota

ho ke ik baar saamna un se
phir kabhi saamna nahin hota

अब तो ये भी नहीं रहा एहसास
दर्द होता है या नहीं होता

इश्क़ जब तक न कर चुके रुस्वा
आदमी काम का नहीं होता

टूट पड़ता है दफ़अ'तन जो इश्क़
बेश-तर देर-पा नहीं होता

वो भी होता है एक वक़्त कि जब
मा-सिवा मा-सिवा नहीं होता

हाए क्या हो गया तबीअ'त को
ग़म भी राहत-फ़ज़ा नहीं होता

दिल हमारा है या तुम्हारा है
हम से ये फ़ैसला नहीं होता

जिस पे तेरी नज़र नहीं होती
उस की जानिब ख़ुदा नहीं होता

मैं कि बे-ज़ार उम्र भर के लिए
दिल कि दम-भर जुदा नहीं होता

वो हमारे क़रीब होते हैं
जब हमारा पता नहीं होता

दिल को क्या क्या सुकून होता है
जब कोई आसरा नहीं होता

हो के इक बार सामना उन से
फिर कभी सामना नहीं होता

- Jigar Moradabadi
4 Likes

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jigar Moradabadi

As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jigar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari