tabassum hai vo honton par jo dil ka kaam kar jaaye
unhen is ki nahin parwa koi marta hai mar jaaye
dua hai meri ai dil tujh se duniya kooch kar jaaye
aur aisi kuchh bane tujh par ki armaanon se dar jaaye
jo mauqa mil gaya to khizr se ye baat poochhenge
jise ho justuju apni vo bechaara kidhar jaaye
sehar ko seena-e-aalam mein partav daalne waale
tasadduq apne jalwe ka mera baatin sanwar jaaye
pareshaan baal karte hain unhen shokhi se matlab hai
bikharta hai agar sheeraza-e-aalam bikhar jaaye
hayaat-e-daaimi ki lehar hai is zindagaani mein
agar marne se pehle ban pade to josh mar jaaye
तबस्सुम है वो होंटों पर जो दिल का काम कर जाए
उन्हें इस की नहीं परवा कोई मरता है मर जाए
दुआ है मेरी ऐ दिल तुझ से दुनिया कूच कर जाए
और ऐसी कुछ बने तुझ पर कि अरमानों से डर जाए
जो मौक़ा मिल गया तो ख़िज़्र से ये बात पूछेंगे
जिसे हो जुस्तुजू अपनी वो बेचारा किधर जाए
सहर को सीना-ए-आलम में परतव डालने वाले
तसद्दुक़ अपने जल्वे का मिरा बातिन सँवर जाए
परेशाँ बाल करते हैं उन्हें शोख़ी से मतलब है
बिखरता है अगर शीराज़ा-ए-आलम बिखर जाए
हयात-ए-दाइमी की लहर है इस ज़िंदगानी में
अगर मरने से पहले बन पड़े तो 'जोश' मर जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Josh Malihabadi
our suggestion based on Josh Malihabadi
As you were reading Duniya Shayari Shayari