main ne socha tha ki is baar tumhaari baahen | मैं ने सोचा था कि इस बार तुम्हारी बाहें - Kafeel Aazar Amrohvi

main ne socha tha ki is baar tumhaari baahen
meri gardan mein b-sad-shauq hamaail hongi
mushkilein raah-e-mohabbat mein na haa'il hongi

main ne socha tha ki is baar nigaahon ke salaam
aayenge aur b-andaaz-e-digar aayenge
phool hi phool fazaaon mein bikhar jaayenge

main ne socha tha ki is baar tumhaari saansen
meri bahki hui saanson se lipt jaayengi
bazm-e-ehsaas ki taariqiyaan chhat jaayengi

main ne socha tha ki is baar tumhaara paikar
mere be-khwab dareechon ko sula jaayega
mere kamre ko saleeqe se saja jaayega

main ne socha tha ki is baar mere aangan mein
rang bikrenge umeedon ki dhanak tootegi
meri tanhaai ke aariz pe shafaq phootegi

main ne socha tha ki is baar b-ein soorat-e-haal
mere darwaaze pe shehnaaiyaan sab dekhenge
jo kabhi pehle nahin dekha tha ab dekhenge

main ne socha tha ki is baar mohabbat ke liye
gungunaate hue jazbon ki baraat aayegi
muddaton b'ad tamannaon ki raat aayegi

tum mere ishq ki taqdeer banogi is baar
jeet jaayega mera josh-e-junoon socha tha
aur ab soch raha hoon ki ye kyun socha tha

मैं ने सोचा था कि इस बार तुम्हारी बाहें
मेरी गर्दन में ब-सद-शौक़ हमाइल होंगी
मुश्किलें राह-ए-मोहब्बत में न हाइल होंगी

मैं ने सोचा था कि इस बार निगाहों के सलाम
आएँगे और ब-अंदाज़-ए-दिगर आएँगे
फूल ही फूल फ़ज़ाओं में बिखर जाएँगे

मैं ने सोचा था कि इस बार तुम्हारी साँसें
मेरी बहकी हुई साँसों से लिपट जाएँगी
बज़्म-ए-एहसास की तारीकियाँ छट जाएँगी

मैं ने सोचा था कि इस बार तुम्हारा पैकर
मेरे बे-ख़्वाब दरीचों को सुला जाएगा
मेरे कमरे को सलीक़े से सजा जाएगा

मैं ने सोचा था कि इस बार मिरे आँगन में
रंग बिखरेंगे उमीदों की धनक टूटेगी
मेरी तन्हाई के आरिज़ पे शफ़क़ फूटेगी

मैं ने सोचा था कि इस बार ब-ईं सूरत-ए-हाल
मेरे दरवाज़े पे शहनाइयाँ सब देखेंगे
जो कभी पहले नहीं देखा था अब देखेंगे

मैं ने सोचा था कि इस बार मोहब्बत के लिए
गुनगुनाते हुए जज़्बों की बरात आएगी
मुद्दतों ब'अद तमन्नाओं की रात आएगी

तुम मिरे इश्क़ की तक़दीर बनोगी इस बार
जीत जाएगा मिरा जोश-ए-जुनूँ सोचा था
और अब सोच रहा हूँ कि ये क्यूँ सोचा था

- Kafeel Aazar Amrohvi
0 Likes

Diversity Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kafeel Aazar Amrohvi

As you were reading Shayari by Kafeel Aazar Amrohvi

Similar Writers

our suggestion based on Kafeel Aazar Amrohvi

Similar Moods

As you were reading Diversity Shayari Shayari