ham ne jab koi bhi darwaaza khula paaya hai
kitni guzri hui baaton ka khayal aaya hai
qaafila dard ka thehrega kahaan ham-safaro
koi manzil hai na basti na kahi saaya hai
ek sehama hua sunsaan gali ka nukkad
shehar ki bheed mein akshar mujhe yaad aaya hai
yun liye firta hoon toote hue khwaabon ki saleeb
ab yahi jaise meri zeest ka sarmaaya hai
shehar mein ek bhi aawaara nahin ab ke baras
mausam-e-laala-o-gul kaisi khabar laaya hai
un ki tooti hui deewaar ka saaya aazar
dhoop mein kyun mere hamraah chala aaya hai
हम ने जब कोई भी दरवाज़ा खुला पाया है
कितनी गुज़री हुई बातों का ख़याल आया है
क़ाफ़िला दर्द का ठहरेगा कहाँ हम-सफ़रो
कोई मंज़िल है न बस्ती न कहीं साया है
एक सहमा हुआ सुनसान गली का नुक्कड़
शहर की भीड़ में अक्सर मुझे याद आया है
यूँ लिए फिरता हूँ टूटे हुए ख़्वाबों की सलीब
अब यही जैसे मिरी ज़ीस्त का सरमाया है
शहर में एक भी आवारा नहीं अब के बरस
मौसम-ए-लाला-ओ-गुल कैसी ख़बर लाया है
उन की टूटी हुई दीवार का साया 'आज़र'
धूप में क्यूँ मिरे हमराह चला आया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kafeel Aazar Amrohvi
our suggestion based on Kafeel Aazar Amrohvi
As you were reading Manzil Shayari Shayari