tum se raah-o-rasm badha kar deewane kahlaayein kyun
jin galiyon mein patthar barse un galiyon mein jaayen kyun
vaise hi tareek bahut hain lamhe gham ki raaton ke
phir mere khwaabon mein yaaro vo gesu leharaayen kyun
majbooron ki is basti mein kis se poochen kaun bataaye
apna mohalla bhool gai hain be-chaari lailaaen kyun
mustaqbil se aas bahut hai mustaqil kaisa bhi ho
maazi kis ke kaam aaya hai maazi ko dohraayein kyun
haan ham ne bhi aaj kisi ka naazuk sa dil toda hai
shehr-e-wafa ki rasm yahi hai ham is par sharmaayein kyun
khidki khidki sannaata hai chilman chilman tanhaai
chaahat ki mehfil mein ab ham naqd-e-dil-o-jaan laayein kyun
vaadon ke jungle mein aazar ham to barson bhatke hain
aap karein kyun dil pe bharosa aap ye dhoka khaayein kyun
तुम से राह-ओ-रस्म बढ़ा कर दीवाने कहलाएँ क्यूँ
जिन गलियों में पत्थर बरसें उन गलियों में जाएँ क्यूँ
वैसे ही तारीक बहुत हैं लम्हे ग़म की रातों के
फिर मेरे ख़्वाबों में यारो वो गेसू लहराएँ क्यूँ
मजबूरों की इस बस्ती में किस से पूछें कौन बताए
अपना मोहल्ला भूल गई हैं बे-चारी लैलाएँ क्यूँ
मुस्तक़बिल से आस बहुत है मुस्तक़िल कैसा भी हो
माज़ी किस के काम आया है माज़ी को दोहराएँ क्यूँ
हाँ हम ने भी आज किसी का नाज़ुक सा दिल तोड़ा है
शहर-ए-वफ़ा की रस्म यही है हम इस पर शरमाएँ क्यूँ
खिड़की खिड़की सन्नाटा है चिलमन चिलमन तन्हाई
चाहत की महफ़िल में अब हम नक़्द-ए-दिल-ओ-जाँ लाएँ क्यूँ
वादों के जंगल में 'आज़र' हम तो बरसों भटके हैं
आप करें क्यूँ दिल पे भरोसा आप ये धोका खाएँ क्यूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kafeel Aazar Amrohvi
our suggestion based on Kafeel Aazar Amrohvi
As you were reading Bharosa Shayari in Hindi Shayari