jaate jaate ye nishaani de gaya
vo meri aankhon mein paani de gaya
jaagte lamhon ki chadar odh kar
koi khwaabon ko jawaani de gaya
mere haathon se khilone cheen kar
mujh ko zakhamon ki kahaani de gaya
hal na tha mushkil ka koi us ke paas
sirf wa'de aasmaani de gaya
khud se sharminda mujhe hona pada
aaina jab mera saani de gaya
mujh ko aazar ik fareb-e-aarzoo
khoobsurat zindagaani de gaya
जाते जाते ये निशानी दे गया
वो मिरी आँखों में पानी दे गया
जागते लम्हों की चादर ओढ़ कर
कोई ख़्वाबों को जवानी दे गया
मेरे हाथों से खिलौने छीन कर
मुझ को ज़ख़्मों की कहानी दे गया
हल न था मुश्किल का कोई उस के पास
सिर्फ़ वा'दे आसमानी दे गया
ख़ुद से शर्मिंदा मुझे होना पड़ा
आइना जब मेरा सानी दे गया
मुझ को 'आज़र' इक फ़रेब-ए-आरज़ू
ख़ूबसूरत ज़िंदगानी दे गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kafeel Aazar Amrohvi
our suggestion based on Kafeel Aazar Amrohvi
As you were reading Husn Shayari Shayari