gum-shuda tanhaaiyon ki raaz-daan achhi to ho | गुम-शुदा तन्हाइयों की राज़-दाँ अच्छी तो हो

  - Kafeel Aazar Amrohvi

gum-shuda tanhaaiyon ki raaz-daan achhi to ho
main yahan achha nahin hoon tum wahan achhi to ho

waqt-e-rukhsat bheege bheege in dareechon ki qasam
noor-paikar chaand-soorat gulistaan achhi to ho

thartharaate kaanpate honton ko aaya kuchh sukoon
ai zabaan rakhte hue bhi be-zabaan achhi to ho

dhoop ne jab aarzoo ke jism ko nahla diya
ban gai theen tum wafa ka saaebaan achhi to ho

raat bhar chille wazeefe vo tahajjud aur fajr
mil gaya ab to sila ai meri maa achhi to ho

is zamaane mein jab apnon ka bharosa ho fareb
sochti rahti ho main jaaun kahaan achhi to ho

jhilmilaate hain sitaare raat ko palkon pe jab
chaand se sunti ho meri dastaan achhi to ho

vo tumhaari ik saheli ban gai thi jo dulhan
us se khat likh kar kabhi poocha nihaan achhi to ho

jab kahi jaao to likh dena mujhe apna pata
poochne warna main jaaunga kahaan achhi to ho

tum sada achhi raho aazar ki hai bas ye dua
faasle sadiyon ke hain ab darmiyaan achhi to ho

गुम-शुदा तन्हाइयों की राज़-दाँ अच्छी तो हो
मैं यहाँ अच्छा नहीं हूँ तुम वहाँ अच्छी तो हो

वक़्त-ए-रुख़्सत भीगे भीगे इन दरीचों की क़सम
नूर-पैकर चाँद-सूरत गुलिस्ताँ अच्छी तो हो

थरथराते काँपते होंटों को आया कुछ सुकूँ
ऐ ज़बाँ रखते हुए भी बे-ज़बाँ अच्छी तो हो

धूप ने जब आरज़ू के जिस्म को नहला दिया
बन गई थीं तुम वफ़ा का साएबाँ अच्छी तो हो

रात भर चिल्ले वज़ीफ़े वो तहज्जुद और फज्र
मिल गया अब तो सिला ऐ मेरी माँ अच्छी तो हो

इस ज़माने में जब अपनों का भरोसा हो फ़रेब
सोचती रहती हो मैं जाऊँ कहाँ अच्छी तो हो

झिलमिलाते हैं सितारे रात को पलकों पे जब
चाँद से सुनती हो मेरी दास्ताँ अच्छी तो हो

वो तुम्हारी इक सहेली बन गई थी जो दुल्हन
उस से ख़त लिख कर कभी पूछा निहाँ अच्छी तो हो

जब कहीं जाओ तो लिख देना मुझे अपना पता
पूछने वर्ना मैं जाऊँगा कहाँ अच्छी तो हो

तुम सदा अच्छी रहो 'आज़र' की है बस ये दुआ
फ़ासले सदियों के हैं अब दरमियाँ अच्छी तो हो

  - Kafeel Aazar Amrohvi

Eitbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kafeel Aazar Amrohvi

As you were reading Shayari by Kafeel Aazar Amrohvi

Similar Writers

our suggestion based on Kafeel Aazar Amrohvi

Similar Moods

As you were reading Eitbaar Shayari Shayari