tanhaai ki gali mein hawaon ka shor tha
aankhon mein so raha tha andhera thaka hua
seene mein jaise teer sa paivast ho gaya
tha kitna dil-kharaash udaasi ka qahqaha
yun bhi hua ki shehar ki sadkon pe baar-ha
har shakhs se main apna pata poochta fira
barson se chal raha hai koi mere saath saath
hai kaun shakhs us se main ik baar poochta
dil mein utar ke bujh gai yaadon ki chaandni
aankhon mein intizaar ka suraj pighal gaya
chhodi hai un ki chaah to ab lag raha hai yun
jaise main itne roz andheron mein qaid tha
main ne zara si baat kahi thi mazaak mein
tum ne zara si baat ko itna badha liya
kamre mein phailta raha cigarette ka dhuaan
main band khidkiyon ki taraf dekhta raha
aazar ye kis ki samt badhe ja rahe hain log
is shehar mein to mere siva koi bhi na tha
तन्हाई की गली में हवाओं का शोर था
आँखों में सो रहा था अँधेरा थका हुआ
सीने में जैसे तीर सा पैवस्त हो गया
था कितना दिल-ख़राश उदासी का क़हक़हा
यूँ भी हुआ कि शहर की सड़कों पे बार-हा
हर शख़्स से मैं अपना पता पूछता फिरा
बरसों से चल रहा है कोई मेरे साथ साथ
है कौन शख़्स उस से मैं इक बार पूछता
दिल में उतर के बुझ गई यादों की चाँदनी
आँखों में इंतिज़ार का सूरज पिघल गया
छोड़ी है उन की चाह तो अब लग रहा है यूँ
जैसे मैं इतने रोज़ अँधेरों में क़ैद था
मैं ने ज़रा सी बात कही थी मज़ाक़ में
तुम ने ज़रा सी बात को इतना बढ़ा लिया
कमरे में फैलता रहा सिगरेट का धुआँ
मैं बंद खिड़कियों की तरफ़ देखता रहा
'आज़र' ये किस की सम्त बढ़े जा रहे हैं लोग
इस शहर में तो मेरे सिवा कोई भी न था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kafeel Aazar Amrohvi
our suggestion based on Kafeel Aazar Amrohvi
As you were reading Tanhai Shayari Shayari