ye haadsa bhi tire shehar mein hua hoga
tamaam shehar mujhe dhoondhta fira hoga
main is khayal se akshar udaas rehta hoon
koi judaai ki sadiyaan guzaarta hoga
chalo ki shehar ki sadken kahi na so jaayen
ab is ujaad haveli mein kya rakha hoga
tumhaari bazm se nikle to ham ne ye socha
zameen se chaand talak kitna fasla hoga
zara si der ko sone se faaeda aazar
tumhein to roz isee tarah jaagna hoga
ये हादसा भी तिरे शहर में हुआ होगा
तमाम शहर मुझे ढूँढता फिरा होगा
मैं इस ख़याल से अक्सर उदास रहता हूँ
कोई जुदाई की सदियाँ गुज़ारता होगा
चलो कि शहर की सड़कें कहीं न सो जाएँ
अब इस उजाड़ हवेली में क्या रखा होगा
तुम्हारी बज़्म से निकले तो हम ने ये सोचा
ज़मीं से चाँद तलक कितना फ़ासला होगा
ज़रा सी देर को सोने से फ़ाएदा 'आज़र'
तुम्हें तो रोज़ इसी तरह जागना होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kafeel Aazar Amrohvi
our suggestion based on Kafeel Aazar Amrohvi
As you were reading Yaad Shayari Shayari