us ki aankhon mein utar jaane ko jee chahta hai | उस की आँखों में उतर जाने को जी चाहता है

  - Kafeel Aazar Amrohvi

us ki aankhon mein utar jaane ko jee chahta hai
shaam hoti hai to ghar jaane ko jee chahta hai

kisi kam-zarf ko ba-zarf agar kehna pade
aise jeene se to mar jaane ko jee chahta hai

ek ik baat mein sacchaai hai us ki lekin
apne va'don se mukar jaane ko jee chahta hai

qarz toote hue khwaabon ka ada ho jaaye
zaat mein apni bikhar jaane ko jee chahta hai

apni palkon pe sajaaye hue yaadon ke diye
us ki neendon se guzar jaane ko jee chahta hai

ek ujde hue veeraan khandar mein aazar
na-munaasib hai magar jaane ko jee chahta hai

उस की आँखों में उतर जाने को जी चाहता है
शाम होती है तो घर जाने को जी चाहता है

किसी कम-ज़र्फ़ को बा-ज़र्फ़ अगर कहना पड़े
ऐसे जीने से तो मर जाने को जी चाहता है

एक इक बात में सच्चाई है उस की लेकिन
अपने वा'दों से मुकर जाने को जी चाहता है

क़र्ज़ टूटे हुए ख़्वाबों का अदा हो जाए
ज़ात में अपनी बिखर जाने को जी चाहता है

अपनी पलकों पे सजाए हुए यादों के दिए
उस की नींदों से गुज़र जाने को जी चाहता है

एक उजड़े हुए वीरान खंडर में 'आज़र'
ना-मुनासिब है मगर जाने को जी चाहता है

  - Kafeel Aazar Amrohvi

Andaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kafeel Aazar Amrohvi

As you were reading Shayari by Kafeel Aazar Amrohvi

Similar Writers

our suggestion based on Kafeel Aazar Amrohvi

Similar Moods

As you were reading Andaaz Shayari Shayari