koi manzil nahin milti to thehar jaate hain | कोई मंज़िल नहीं मिलती तो ठहर जाते हैं

  - Kafeel Aazar Amrohvi

koi manzil nahin milti to thehar jaate hain
ashk aankhon mein musaafir ki tarah aate hain

kyun tire hijr ke manzar pe sitam dhhaate hain
zakham bhi dete hain aur khwaab bhi dikhlaate hain

ham bhi in bacchon ki maanind koi pal jee len
ek sikka jo hatheli pe saja laate hain

ye to har roz ka maamool hai hairaan ho kyun
pyaas hi peete hain ham bhook hi ham khaate hain

har bada bacchon ko jeene ki dua deta hai
ham bhi shaayad isee virse ki saza paate hain

subh le jaate hain ham apna janaaza ghar se
shaam ko phir ise kaandhon pe utha laate hain

shehar ki bheed mein kya ho isee khaatir aazar
apni pehchaan ko ham ghar mein hi chhod aate hain

कोई मंज़िल नहीं मिलती तो ठहर जाते हैं
अश्क आँखों में मुसाफ़िर की तरह आते हैं

क्यूँ तिरे हिज्र के मंज़र पे सितम ढाते हैं
ज़ख़्म भी देते हैं और ख़्वाब भी दिखलाते हैं

हम भी इन बच्चों की मानिंद कोई पल जी लें
एक सिक्का जो हथेली पे सजा लाते हैं

ये तो हर रोज़ का मामूल है हैरान हो क्यूँ
प्यास ही पीते हैं हम भूक ही हम खाते हैं

हर बड़ा बच्चों को जीने की दुआ देता है
हम भी शायद इसी विर्से की सज़ा पाते हैं

सुब्ह ले जाते हैं हम अपना जनाज़ा घर से
शाम को फिर इसे काँधों पे उठा लाते हैं

शहर की भीड़ में क्या हो इसी ख़ातिर 'आज़र'
अपनी पहचान को हम घर में ही छोड़ आते हैं

  - Kafeel Aazar Amrohvi

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kafeel Aazar Amrohvi

As you were reading Shayari by Kafeel Aazar Amrohvi

Similar Writers

our suggestion based on Kafeel Aazar Amrohvi

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari