raat ke dasht mein faila hua sannaata hoon
apne saaye se bichhadne ki saza paata hoon
main kabhi apne liye gair nahin tha itna
aaina dekh ke kal raat bahut roya hoon
tum se milne ki khushi hai na bichhadne ka malaal
khud-farebi ke ab is mod pe aa pahuncha hoon
jab se ik khwaab ki ta'beer mili hai mujh ko
main har ik khwaab ki ta'beer se ghabraata hoon
koi milta hi nahin aankh milaane waala
main tire shehar mein suraj ki tarah tanhaa hoon
zindagi ka koi maqsad hi nahin hai aazar
aur main hoon ki zaroorat ki tarah zinda hoon
रात के दश्त में फैला हुआ सन्नाटा हूँ
अपने साए से बिछड़ने की सज़ा पाता हूँ
मैं कभी अपने लिए ग़ैर नहीं था इतना
आईना देख के कल रात बहुत रोया हूँ
तुम से मिलने की ख़ुशी है न बिछड़ने का मलाल
ख़ुद-फ़रेबी के अब इस मोड़ पे आ पहुँचा हूँ
जब से इक ख़्वाब की ता'बीर मिली है मुझ को
मैं हर इक ख़्वाब की ता'बीर से घबराता हूँ
कोई मिलता ही नहीं आँख मिलाने वाला
मैं तिरे शहर में सूरज की तरह तन्हा हूँ
ज़िंदगी का कोई मक़्सद ही नहीं है 'आज़र'
और मैं हूँ कि ज़रूरत की तरह ज़िंदा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kafeel Aazar Amrohvi
our suggestion based on Kafeel Aazar Amrohvi
As you were reading Qaid Shayari Shayari