mujh se ab tak ye gila hai mere gham-khwaron ko | मुझ से अब तक ये गिला है मिरे ग़म-ख़्वारों को

  - Kafeel Aazar Amrohvi

mujh se ab tak ye gila hai mere gham-khwaron ko
kyun chhua main ne tiri yaad ke angaaron ko

zehan o dil hashr ke suraj ki tarah jalte hain
jab se chhodaa hai tire shehar ki deewaron ko

aaj bhi aap ki yaadon ke muqaddas jhonke
chhed jaate hain mohabbat ke gunehgaaro ko

aarzoo soch tadap dard kasak gham aansu
ham se kya kya na mila hijr ke bazaaron ko

tere jalte hue honton ki hararat na mili
meri tanhaai ke bheege hue rukhsaaron ko

tum ko maahol se ho jaayegi nafrat aazar
itne nazdeek se dekha na karo yaaron ko

मुझ से अब तक ये गिला है मिरे ग़म-ख़्वारों को
क्यूँ छुआ मैं ने तिरी याद के अँगारों को

ज़ेहन ओ दिल हश्र के सूरज की तरह जलते हैं
जब से छोड़ा है तिरे शहर की दीवारों को

आज भी आप की यादों के मुक़द्दस झोंके
छेड़ जाते हैं मोहब्बत के गुनहगारों को

आरज़ू सोच तड़प दर्द कसक ग़म आँसू
हम से क्या क्या न मिला हिज्र के बाज़ारों को

तेरे जलते हुए होंटों की हरारत न मिली
मेरी तन्हाई के भीगे हुए रुख़्सारों को

तुम को माहौल से हो जाएगी नफ़रत 'आज़र'
इतने नज़दीक से देखा न करो यारों को

  - Kafeel Aazar Amrohvi

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kafeel Aazar Amrohvi

As you were reading Shayari by Kafeel Aazar Amrohvi

Similar Writers

our suggestion based on Kafeel Aazar Amrohvi

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari