gadho mat chaak pe rakh ke | गढ़ो मत चाक पे रख के

  - Kahkashan Tabassum

gadho mat chaak pe rakh ke
koi kuzaa suraahi ya ghada pyaala
tumhaari soch ke ye naqsh hain saare
tumhaari khwahishon ke rang bhar dilkash
hamein mitti hi rahne do
hamein kab chahiye aisi ata
bakshi hui soorat
hamein mitti hi rahne do
jo nam baarish se ho
zarkhez ho faslen ugaati ho
zara si beej ko pauda banaati ho
ki vo pauda shajar ban kar
tumhaari raahguzaar ko chaanv deta hai
wahi rasta tumhaari manzilen aasaan karta hai
hamein mitti hi rahne do
numaish ke sajaavat ke
hamein samaan kyun hona
numoo se kyun hamein mahroom karte ho
tumhaare paanv ke neeche zameen qaaim rahe jaanaan
hamein mitti hi rahne do

गढ़ो मत चाक पे रख के
कोई कूज़ा सुराही या घड़ा प्याला
तुम्हारी सोच के ये नक़्श हैं सारे
तुम्हारी ख़्वाहिशों के रंग भर दिलकश
हमें मिट्टी ही रहने दो
हमें कब चाहिए ऐसी अता
बख़्शी हुई सूरत
हमें मिट्टी ही रहने दो
जो नम बारिश से हो
ज़रख़ेज़ हो फ़स्लें उगाती हो
ज़रा सी बीज को पौदा बनाती हो
कि वो पौदा शजर बन कर
तुम्हारी रहगुज़र को छाँव देता है
वही रस्ता तुम्हारी मंज़िलें आसान करता है
हमें मिट्टी ही रहने दो
नुमाइश के सजावट के
हमें सामान क्यूँ होना
नुमू से क्यूँ हमें महरूम करते हो
तुम्हारे पाँव के नीचे ज़मीं क़ाएम रहे जानाँ
हमें मिट्टी ही रहने दो

  - Kahkashan Tabassum

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kahkashan Tabassum

As you were reading Shayari by Kahkashan Tabassum

Similar Writers

our suggestion based on Kahkashan Tabassum

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari