har kadam par jo itna rote ho
kis tamannaa ka bojh dhote ho
har kisi se gurez kya matlab
aaj kal kis hawa mein hote ho
iska matlab hai dekh li duniya
baat karne se pehle rote ho
chaand par ja basoge kya tum sab
nafratein is qadar jo bote ho
ye khudaai sift bhi hai tum mein
door rah kar qareeb hote ho
tum aziyat pasand ho khalid
apne ashqon se zakhm dhote hi
हर कदम पर जो इतना रोते हो
किस तमन्ना का बोझ ढोते हो
हर किसी से गुरेज क्या मतलब
आज कल किस हवा में होते हो
इसका मतलब है देख ली दुनिया
बात करने से पहले रोते हो
चाँद पर जा बसोगे क्या तुम सब
नफ़रतें इस क़दर जो बोते हो
ये ख़ुदाई सिफ़त भी है तुम में
दूर रह कर क़रीब होते हो
तुम अज़ीयत पसन्द हो 'खालिद'
अपने अश्क़ों से ज़ख्म धोते ही
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khalid Nadeem Shani
our suggestion based on Khalid Nadeem Shani
As you were reading Gham Shayari Shayari