tire dar se uth kar jidhar jaaun main
chaloon do qadam aur thehar jaaun main
sambhaale to hoon khud ko tujh bin magar
jo chhoo le koii to bikhar jaaun main
agar tu khafa ho to parwa nahin
tira gham khafa ho to mar jaaun main
tabassum ne itna dasa hai mujhe
kali muskuraaye to dar jaaun main
mera ghar fasaadaat mein jal chuka
watan jaaun to kis ke ghar jaaun main
khumaar un se tark-e-ta'alluq baja
magar jeete-ji kaise mar jaaun main
तिरे दर से उठ कर जिधर जाऊँ मैं
चलूँ दो क़दम और ठहर जाऊँ मैं
सँभाले तो हूँ ख़ुद को तुझ बिन मगर
जो छू ले कोई तो बिखर जाऊँ मैं
अगर तू ख़फ़ा हो तो पर्वा नहीं
तिरा ग़म ख़फ़ा हो तो मर जाऊँ मैं
तबस्सुम ने इतना डसा है मुझे
कली मुस्कुराए तो डर जाऊँ मैं
मिरा घर फ़सादात में जल चुका
वतन जाऊँ तो किस के घर जाऊँ मैं
'ख़ुमार' उन से तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ बजा
मगर जीते-जी कैसे मर जाऊँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khumar Barabankvi
our suggestion based on Khumar Barabankvi
As you were reading Khushi Shayari Shayari