vo siva yaad aaye bhulaane ke baad | वो सिवा याद आए भुलाने के बाद

  - Khumar Barabankvi

vo siva yaad aaye bhulaane ke baad
zindagi badh gai zahar khaane ke baad

dil sulagta raha aashiyaane ke baad
aag thandi hui ik zamaane ke baad

raushni ke liye dil jalana pada
aisi zulmat badhi tere jaane ke baad

jab na kuchh ban pada arz-e-gham ka jawaab
vo khafa ho gaye muskuraane ke baad

dushmanon se pashemaan hona pada
doston ka khuloos aazmaane ke baad

ranj had se guzar ke khushi ban gaya
ho gaye paar ham doob jaane ke baad

bakhsh de ya rab ahl-e-hawas ko behisht
mujh ko kya chahiye tujh ko paane ke baad

kaise kaise gile yaad aaye khumaar
un ke aane se qibl un ke jaane ke baad

वो सिवा याद आए भुलाने के बाद
ज़िंदगी बढ़ गई ज़हर खाने के बाद

दिल सुलगता रहा आशियाने के बाद
आग ठंडी हुई इक ज़माने के बाद

रौशनी के लिए दिल जलाना पड़ा
ऐसी ज़ुल्मत बढ़ी तेरे जाने के बाद

जब न कुछ बन पड़ा अर्ज़-ए-ग़म का जवाब
वो ख़फ़ा हो गए मुस्कुराने के बाद

दुश्मनों से पशेमान होना पड़ा
दोस्तों का ख़ुलूस आज़माने के बाद

रंज हद से गुज़र के ख़ुशी बन गया
हो गए पार हम डूब जाने के बाद

बख़्श दे या रब अहल-ए-हवस को बहिश्त
मुझ को क्या चाहिए तुझ को पाने के बाद

कैसे कैसे गिले याद आए 'ख़ुमार'
उन के आने से क़ब्ल उन के जाने के बाद

  - Khumar Barabankvi

Kashti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khumar Barabankvi

As you were reading Shayari by Khumar Barabankvi

Similar Writers

our suggestion based on Khumar Barabankvi

Similar Moods

As you were reading Kashti Shayari Shayari