tu kare saamne dua haq mein
de yahi jhooth ik khuda haq mein
kuchh nahin maangata kabhi bhi main
dekh kuchh bhi nahin mila haq mein
ishq karne laga bade haq se
phir mera haq nahin raha haq mein
bewafa kah na paaya main tujhko
bach gaya ik yahi gila haq mein
baal kaise bikhar gaye mere
kya bahi thi wahi hawa haq mein
yaar ke saath baat yaari ki
aur cigarette aa gira haq mein
nazon se choor kar diye taare
chaand aise nahin gira haq mein
तू करे सामने दुआ हक़ में
दे यही झूठ इक ख़ुदा हक़ में
कुछ नहीं माँगता कभी भी मैं
देख कुछ भी नहीं मिला हक़ में
इश्क़ करने लगा बड़े हक़ से
फिर मेरा हक़ नहीं रहा हक़ में
बेवफ़ा कह न पाया मैं तुझको
बच गया इक यही गिला हक़ में
बाल कैसे बिखर गए मेरे
क्या बही थी वही हवा हक़ में
यार के साथ बात यारी की
और सिगरेट आ गिरा हक़ में
नज़रों से चूर कर दिए तारे
चाँद ऐसे नहीं गिरा हक़ में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kinshu Sinha
our suggestion based on Kinshu Sinha
As you were reading Zulf Shayari Shayari