usse milkar bhatke ho tum
kya socha kya nikle ho tum
jhoothi qasmen khaakar apni
zinda kaise rahte ho tum
hanskar milne waale ladke
itne achhe kaise ho tum
aankhen baatein lahja dekho
sach mein gham ke apne ho tum
kyun dil ko bechain kiye ho
kis saaye ke peechhe ho tum
main to kab ka chala gaya hoon
laash liye kyun baithe ho tum
उससे मिलकर भटके हो तुम
क्या सोचा क्या निकले हो तुम
झूठी क़समें खाकर अपनी
ज़िंदा कैसे रहते हो तुम
हँसकर मिलने वाले लड़के
इतने अच्छे कैसे हो तुम
आँखें बातें लहजा देखो
सच में ग़म के अपने हो तुम
क्यों दिल को बेचैन किए हो
किस साए के पीछे हो तुम
मैं तो कब का चला गया हूँ
लाश लिए क्यों बैठे हो तुम
As you were reading Shayari by Krish Gour 'Jazbaat'
our suggestion based on Krish Gour 'Jazbaat'
As you were reading undefined Shayari