jo khud udaas ho vo kya khushi lutaayega
bujhe diye se diya kis tarah jalaaega
kamaan khush hai ki teer us ka kaamyaab raha
malaal bhi hai ki ab laut ke na aayega
vo band kamre ke gamle ka phool hai yaaro
vo mausamon ka bhala haal kya bataaega
main jaanta hoon tire ba'ad meri aankhon mein
bahut dinon tira ehsaas jhilmilaayega
tum us ko apna samajh to rahe ho naaz magar
bharam bharam hai kisi roz toot jaayega
जो ख़ुद उदास हो वो क्या ख़ुशी लुटाएगा
बुझे दिये से दिया किस तरह जलाएगा
कमान ख़ुश है कि तीर उस का कामयाब रहा
मलाल भी है कि अब लौट के न आएगा
वो बंद कमरे के गमले का फूल है यारो
वो मौसमों का भला हाल क्या बताएगा
मैं जानता हूँ तिरे बा'द मेरी आँखों में
बहुत दिनों तिरा एहसास झिलमिलाएगा
तुम उस को अपना समझ तो रहे हो 'नाज़' मगर
भरम भरम है किसी रोज़ टूट जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Krishna Kumar Naaz
our suggestion based on Krishna Kumar Naaz
As you were reading Khushi Shayari Shayari