ek kahaani khatm hui hai ek kahaani baaki hai
main be-shak mismar hoon lekin mera saani baaki hai
dasht-e-junoon kii khaak udaane waalon kii himmat dekho
toot chuke hain andar se lekin man-maani baaki hai
haath mere patwaar bane hain aur lahren kashti meri
zor hawa ka qaaim hai dariya kii rawaani baaki hai
gahe gahe ab bhi chale jaate hain ham us kooche mein
zehan buzurgi odh chuka dil kii nadaani baaki hai
kuchh ghazlein un zulfon par hain kuchh ghazlein un aankhon par
jaane waale dost kii ab ik yahi nishaani baaki hai
nayi nayi aawaazen ubhri paashi aur phir doob gaeein
shehar-e-sukhan mein lekin ik awaaz puraani baaki hai
एक कहानी ख़त्म हुई है एक कहानी बाक़ी है
मैं बे-शक मिस्मार हूँ लेकिन मेरा सानी बाक़ी है
दश्त-ए-जुनूँ की ख़ाक उड़ाने वालों की हिम्मत देखो
टूट चुके हैं अंदर से लेकिन मन-मानी बाक़ी है
हाथ मिरे पतवार बने हैं और लहरें कश्ती मेरी
ज़ोर हवा का क़ाएम है दरिया की रवानी बाक़ी है
गाहे गाहे अब भी चले जाते हैं हम उस कूचे में
ज़ेहन बुज़ुर्गी ओढ़ चुका दिल की नादानी बाक़ी है
कुछ ग़ज़लें उन ज़ुल्फ़ों पर हैं कुछ ग़ज़लें उन आँखों पर
जाने वाले दोस्त की अब इक यही निशानी बाक़ी है
नई नई आवाज़ें उभरीं 'पाशी' और फिर डूब गईं
शहर-ए-सुख़न में लेकिन इक आवाज़ पुरानी बाक़ी है
As you were reading Shayari by Kumar Pashi
our suggestion based on Kumar Pashi
As you were reading undefined Shayari