saanche mein ham ne aur ke dhalne nahin diya
dil mom ka tha phir bhi pighalne nahin diya
haathon ki ot de ke jala leen hatheliyaan
ai sham'a tujh ko ham ne machalne nahin diya
duniya ne bahut chaaha ki dil jaanwar bane
main ne hi us ko jism badlne nahin diya
zid ye thi vo jalega tumhaare hi haath se
us zid ne ek charaagh ko jalne nahin diya
chehre ko aaj tak bhi tera intizaar hai
ham ne gulaal aur ko malne nahin diya
baahar ki thokron se to bach kar nikal gaye
paanv ko apni moch ne chalne nahin diya
साँचे में हम ने और के ढलने नहीं दिया
दिल मोम का था फिर भी पिघलने नहीं दिया
हाथों की ओट दे के जला लीं हथेलियाँ
ऐ शम्अ' तुझ को हम ने मचलने नहीं दिया
दुनिया ने बहुत चाहा कि दिल जानवर बने
मैं ने ही उस को जिस्म बदलने नहीं दिया
ज़िद ये थी वो जलेगा तुम्हारे ही हाथ से
उस ज़िद ने एक चराग़ को जलने नहीं दिया
चेहरे को आज तक भी तेरा इंतिज़ार है
हम ने गुलाल और को मलने नहीं दिया
बाहर की ठोकरों से तो बच कर निकल गए
पाँव को अपनी मोच ने चलने नहीं दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kunwar Bechain
our suggestion based on Kunwar Bechain
As you were reading Dil Shayari Shayari