dil ko samjhaao zara ishq mein kya rakha hai
kis liye aap ko deewaana bana rakha hai
ye to maaloom hai beemaar mein kya rakha hai
tere milne ki tamannaa ne jila rakha hai
kaun sa baada-kash aisa hai ki jis ki khaatir
jaam pehle hi se saaqi ne utha rakha hai
apne hi haal mein rahne de mujhe ai hamdam
teri baaton ne mera dhyaan bata rakha hai
aatish-e-ishq se allah bachaaye sab ko
isee shole ne zamaane ko jala rakha hai
main ne zulfon ko chhua ho to dasen naag mujhe
be-khata aap ne ilzaam laga rakha hai
kaise bhule hue hain gabr o musalmaan dono
dair mein but hai na kaabe mein khuda rakha hai
दिल को समझाओ ज़रा इश्क़ में क्या रक्खा है
किस लिए आप को दीवाना बना रक्खा है
ये तो मालूम है बीमार में क्या रक्खा है
तेरे मिलने की तमन्ना ने जिला रक्खा है
कौन सा बादा-कश ऐसा है कि जिस की ख़ातिर
जाम पहले ही से साक़ी ने उठा रक्खा है
अपने ही हाल में रहने दे मुझे ऐ हमदम
तेरी बातों ने मिरा ध्यान बटा रक्खा है
आतिश-ए-इश्क़ से अल्लाह बचाए सब को
इसी शोले ने ज़माने को जला रक्खा है
मैं ने ज़ुल्फ़ों को छुआ हो तो डसें नाग मुझे
बे-ख़ता आप ने इल्ज़ाम लगा रक्खा है
कैसे भूले हुए हैं गब्र ओ मुसलमाँ दोनों
दैर में बुत है न काबे में ख़ुदा रक्खा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar
our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar
As you were reading Ibaadat Shayari Shayari