kisi ko laakh alam ho zara malaal nahin | किसी को लाख अलम हो ज़रा मलाल नहीं

  - Lala Madhav Ram Jauhar

kisi ko laakh alam ho zara malaal nahin
koi mare ki jiye kuchh unhen khayal nahin

ye jaanta hoon magar kya karoon tabi'at ko
ki may haraam hai ai waizoo halaal nahin

abas ghuroor hai mangwa ke aaina dekho
vo rang-o-roop nahin ab vo sin o saal nahin

huzoor aap jo hote to koi kyun banta
ye khoobi aap ki hai gair ki majaal nahin

idhar to dekho hamein do hi din mein bhool gaye
ye be-muravvati allah kuchh khayal nahin

bahaar-e-husn ye do din ki chaandni hai huzoor
jo baat ab ki baras hai vo paar-saal nahin

hazar na kijie milne se khaaksaaron ke
dua to hai jo faqeeron ke paas maal nahin

kisi ne ja ke buraai kahi jo jauhar ki
kaha ye jhooth hai us ki to ye majaal nahin

किसी को लाख अलम हो ज़रा मलाल नहीं
कोई मरे कि जिए कुछ उन्हें ख़याल नहीं

ये जानता हूँ मगर क्या करूँ तबीअ'त को
कि मय हराम है ऐ वाइज़ो हलाल नहीं

अबस ग़ुरूर है मँगवा के आइना देखो
वो रंग-ओ-रूप नहीं अब वो सिन ओ साल नहीं

हुज़ूर आप जो होते तो कोई क्यूँ बनता
ये ख़ूबी आप की है ग़ैर की मजाल नहीं

इधर तो देखो हमें दो ही दिन में भूल गए
ये बे-मुरव्वती अल्लाह कुछ ख़याल नहीं

बहार-ए-हुस्न ये दो दिन की चाँदनी है हुज़ूर
जो बात अब की बरस है वो पार-साल नहीं

हज़र न कीजिए मिलने से ख़ाकसारों के
दुआ तो है जो फ़क़ीरों के पास माल नहीं

किसी ने जा के बुराई कही जो 'जौहर' की
कहा ये झूट है उस की तो ये मजाल नहीं

  - Lala Madhav Ram Jauhar

Religion Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lala Madhav Ram Jauhar

As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Writers

our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Moods

As you were reading Religion Shayari Shayari