aao baitho haso maza ho
kuchh to farmao kyun khafa ho
lau sham'a ki bujhne ko hai ai gul
mehfil mein na koi dil jala ho
dil ka dukhna usi se kahiye
jo dard ki qadr jaanta ho
sheesha talvon mein chubh na jaaye
thukraate ho dil ko kaj-kulaaho
bahki bahki hon us ki baatein
saaqi saaqi pukaarta ho
ujli ujli si chaandni mein
gora gora badan khula ho
आओ बैठो हँसो मज़ा हो
कुछ तो फ़रमाओ क्यूँ ख़फ़ा हो
लौ शम्अ' की बुझने को है ऐ गुल
महफ़िल में न कोई दिल जला हो
दिल का दुखना उसी से कहिए
जो दर्द की क़द्र जानता हो
शीशा तलवों में चुभ न जाए
ठुकराते हो दिल को कज-कुलाहो
बहकी बहकी हों उस की बातें
साक़ी साक़ी पुकारता हो
उजली उजली सी चाँदनी में
गोरा गोरा बदन खुला हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar
our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar
As you were reading Aaina Shayari Shayari