naubat-e-giriya o betaabi-o-zaari aayi
bade hangaame se kal yaad tumhaari aayi
naza' mein bhi vo yahan tak nahin aane deta
ai khuda gair ko aa jaaye hamaari aayi
un ko tashbeeh maseeha se jo di vo bole
aaj maaloom hua maut tumhaari aayi
kis taraf aaye kidhar bhool pade khair to hai
aaj kya tha jo tumhein yaad hamaari aayi
naala-e-bulbul-e-shaida to suna hans hans kar
ab jigar thaam ke baitho meri baari aayi
नौबत-ए-गिरिया ओ बेताबी-ओ-ज़ारी आई
बड़े हंगामे से कल याद तुम्हारी आई
नज़अ में भी वो यहाँ तक नहीं आने देता
ऐ ख़ुदा ग़ैर को आ जाए हमारी आई
उन को तश्बीह मसीहा से जो दी वो बोले
आज मालूम हुआ मौत तुम्हारी आई
किस तरफ़ आए किधर भूल पड़े ख़ैर तो है
आज क्या था जो तुम्हें याद हमारी आई
नाला-ए-बुलबुल-ए-शैदा तो सुना हँस हँस कर
अब जिगर थाम के बैठो मिरी बारी आई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar
our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar
As you were reading Khudkushi Shayari Shayari