ajeeb log the vo titliyan banaate the
samundron ke liye seepiyaan banaate the
wahi banaate the lohe ko tod kar taalaa
phir us ke ba'ad wahi chaabiyaan banaate the
mere qabeele mein ta'leem ka rivaaj na tha
mere buzurg magar takhtiyan banaate the
fuzool waqt mein vo saare sheeshaagar mil kar
suhaagno ke liye choodiyaan banaate the
अजीब लोग थे वो तितलियाँ बनाते थे
समुंदरों के लिए सीपियाँ बनाते थे
वही बनाते थे लोहे को तोड़ कर ताला
फिर उस के बा'द वही चाबियाँ बनाते थे
मेरे क़बीले में ता'लीम का रिवाज न था
मिरे बुज़ुर्ग मगर तख़्तियाँ बनाते थे
फ़ुज़ूल वक़्त में वो सारे शीशागर मिल कर
सुहागनों के लिए चूड़ियाँ बनाते थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Liaqat Jafri
our suggestion based on Liaqat Jafri
As you were reading Waqt Shayari Shayari