kya khoob ye ana hai ki kashkol tod kar | क्या ख़ूब ये अना है कि कश्कोल तोड़ कर

  - Liyaqat Ali Aasim

kya khoob ye ana hai ki kashkol tod kar
ab tak khade hue hain wahin haath jod kar

mar hi na jaaye zabt-e-fughaan se kahi ye shehar
seene se is ke aah nikaalo jhinjhod kar

sunnat hai koi hijrat-e-saani bhala batao
jaata hai koi apne madine ko chhod kar

is ke alaava koi hamaara nahin yahan
jaao koi khuda ko bula laao daud kar

aasim ye dukh to jhelne padte hain ishq mein
chadar na ho to sote nahin khaak odh kar

क्या ख़ूब ये अना है कि कश्कोल तोड़ कर
अब तक खड़े हुए हैं वहीं हाथ जोड़ कर

मर ही न जाए ज़ब्त-ए-फ़ुग़ाँ से कहीं ये शहर
सीने से इस के आह निकालो झिंझोड़ कर

सुन्नत है कोई हिजरत-ए-सानी भला बताओ
जाता है कोई अपने मदीने को छोड़ कर

इस के अलावा कोई हमारा नहीं यहाँ
जाओ कोई ख़ुदा को बुला लाओ दौड़ कर

'आसिम' ये दुख तो झेलने पड़ते हैं इश्क़ में
चादर न हो तो सोते नहीं ख़ाक ओढ़ कर

  - Liyaqat Ali Aasim

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Liyaqat Ali Aasim

As you were reading Shayari by Liyaqat Ali Aasim

Similar Writers

our suggestion based on Liyaqat Ali Aasim

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari