kabhi ishq se kabhi pyaar se
kabhi mausamon ki bahaar se
shab-e-hijr raushni ho gai
mere aansoon ki qataar se
na bahl saki na nikal saki
tire dil ke ek bhi taar se
na hi tere dil mein thehar saki
kabhi iztiraab-o-qaraar se
main nikal ke ab kahaan jaoongi
tiri chaahaton ke hisaar se
ye jo chashm-e-'maahm ubal padi
tire khwaab hi ke khumaar se
कभी इश्क़ से कभी प्यार से
कभी मौसमों की बहार से
शब-ए-हिज्र रौशनी हो गई
मिरे आँसूओं की क़तार से
न बहल सकी न निकल सकी
तिरे दिल के एक भी तार से
न ही तेरे दिल में ठहर सकी
कभी इज़्तिराब-ओ-क़रार से
मैं निकल के अब कहाँ जाऊँगी
तिरी चाहतों के हिसार से
ये जो चश्म-ए-'माहम' उबल पड़ी
तिरे ख़्वाब ही के ख़ुमार से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Maaham Shah
our suggestion based on Maaham Shah
As you were reading Raushni Shayari Shayari