na the sha'ir hi kuchh bade ghalib
dil-lagi mein bhi khoob the ghalib
khoob hanste hansaate rahte the
badi pur-lutf baat kahte the
aam un ko pasand the behad
ya'ni rasiya the aam ke behad
khud bhi bazaar se mangate the
dost bhi aam un ko bhijwaate
phir bhi aamon se jee na bharta tha
aam ka shauq un ko itna tha
un ke qisse tumhein sunaayein ham
un ki baaton se kuchh hansaayen ham
ek mehfil mein vo bhi baithe the
log aamon ka zikr karte the
aam aisa ho aam waisa ho
poocha ghalib se aam kaisa ho
bole ghalib ki poochte ho agar
sirf do khoobiyo pe rakhiye nazar
baat pehli ye hai ki meetha ho
doosri baat ye bahut sa ho
ek din dost un ke ghar aaye
aam ghalib ne the bahut khaaye
saamne ghar ke the pade chilke
us gali mein se kuchh gadhe guzre
un gadhon ne na chilke vo khaaye
soongh kar un ko badh gaye aage
dost ne jab ye maajra dekha
socha ghalib ko ab hai samjhaana
dost bole hai shay buri si aam
dekho khaate nahin gadhe bhi aam
hans ke ghalib ye dost se bole
jee haan be-shak gadhe nahin khaate
baadshah kar rahe the sair-e-baagh
khush tha aamon se un ka kalb-o-dimaagh
baadshah ke the saath ghalib bhi
daalte the nazar vo lalchaai
jee mein ye tha ki khoob khaayein aam
baadshah se jo aaj paaye aam
ghoorte the jo ghalib aamon ko
baadshah bole ghoorte kya ho
baadshah se ye bole vo hans kar
muhr hoti hai daane daane par
dekhta hoon yun ghur kar main aam
shaayad un par likha ho mera naam
maqsad un ka jo baadshah paaye
phir bahut aam un ko bhejavai
न थे शाइ'र ही कुछ बड़े ग़ालिब
दिल-लगी में भी ख़ूब थे ग़ालिब
ख़ूब हँसते हँसाते रहते थे
बड़ी पुर-लुत्फ़ बात कहते थे
आम उन को पसंद थे बेहद
या'नी रसिया थे आम के बेहद
ख़ुद भी बाज़ार से मंगाते थे
दोस्त भी आम उन को भिजवाते
फिर भी आमों से जी न भरता था
आम का शौक़ उन को इतना था
उन के क़िस्से तुम्हें सुनाएँ हम
उन की बातों से कुछ हँसाएँ हम
एक महफ़िल में वो भी बैठे थे
लोग आमों का ज़िक्र करते थे
आम ऐसा हो आम वैसा हो
पूछा ग़ालिब से आम कैसा हो
बोले ग़ालिब कि पूछते हो अगर
सिर्फ़ दो ख़ूबियों पे रखिए नज़र
बात पहली ये है कि मीठा हो
दूसरी बात ये बहुत सा हो
एक दिन दोस्त उन के घर आए
आम ग़ालिब ने थे बहुत खाए
सामने घर के थे पड़े छिलके
उस गली में से कुछ गधे गुज़रे
उन गधों ने न छिलके वो खाए
सूँघ कर उन को बढ़ गए आगे
दोस्त ने जब ये माजरा देखा
सोचा ग़ालिब को अब है समझाना
दोस्त बोले है शय बुरी सी आम
देखो खाते नहीं गधे भी आम
हँस के ग़ालिब ये दोस्त से बोले
जी हाँ बे-शक गधे नहीं खाते
बादशह कर रहे थे सैर-ए-बाग़
ख़ुश था आमों से उन का क़ल्ब-ओ-दिमाग़
बादशह के थे साथ ग़ालिब भी
डालते थे नज़र वो ललचाई
जी में ये था कि ख़ूब खाएँ आम
बादशह से जो आज पाएँ आम
घूरते थे जो ग़ालिब आमों को
बादशह बोले घूरते क्या हो
बादशह से ये बोले वो हँस कर
मुहर होती है दाने दाने पर
देखता हूँ यूँ घूर कर मैं आम
शायद उन पर लिखा हो मेरा नाम
मक़्सद उन का जो बादशह पाए
फिर बहुत आम उन को भिजवाए
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Maftun Kotvi
As you were reading Aankhein Shayari Shayari