haal aisa nahin ki tum se kahein
ek jhagda nahin ki tum se kahein
zer-e-lab aah bhi muhaal hui
dard itna nahin ki tum se kahein
tum zulekha nahin ki ham se kaho
ham maseeha nahin ki tum se kahein
sab samjhte hain aur sab chup hain
koi kehta nahin ki tum se kahein
kis se poochen ki vasl mein kya hai
hijr mein kya nahin ki tum se kahein
ab khizaan ye bhi kah nahin sakte
tum ne poocha nahin ki tum se kahein
हाल ऐसा नहीं कि तुम से कहें
एक झगड़ा नहीं कि तुम से कहें
ज़ेर-ए-लब आह भी मुहाल हुई
दर्द इतना नहीं कि तुम से कहें
तुम ज़ुलेख़ा नहीं कि हम से कहो
हम मसीहा नहीं कि तुम से कहें
सब समझते हैं और सब चुप हैं
कोई कहता नहीं कि तुम से कहें
किस से पूछें कि वस्ल में क्या है
हिज्र में क्या नहीं कि तुम से कहें
अब 'ख़िज़ाँ' ये भी कह नहीं सकते
तुम ने पूछा नहीं कि तुम से कहें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mahboob Khizan
our suggestion based on Mahboob Khizan
As you were reading Visaal Shayari Shayari