jahaan par nafratoin ke khurdure dastoor hote hain | जहाँ पर नफ़रतों के खुरदुरे दस्तूर होते हैं

  - Mahesh Katare Sugam

jahaan par nafratoin ke khurdure dastoor hote hain
wahan par pyaar ke qisse bahut mashhoor hote hain

ye rishton ke ujaale bhi chamakte aur bujhte hain
kahin ye ashk hote hain kahin sindoor hote hain

badalte hain jo kapdon kii tarah apne iraadon ko
bahut khudgarz hote hain bahut magroor hote hain

tumhaare gaav mein aakar main itna jaan paaya hoon
sabhi rishte yahan par pyaar se bharpoor hote hain

dilon kii is sharaarat ko samajhna hai bahut mushkil
wahi kyun yaad aate hain jo hamse door hote hain

जहाँ पर नफ़रतों के खुरदुरे दस्तूर होते हैं
वहाँ पर प्यार के क़िस्से बहुत मशहूर होते हैं।।

ये रिश्तों के उजाले भी चमकते और बुझते हैं,
कहीं ये अश्क होते हैं कहीं सिन्दूर होते हैं ।।

बदलते हैं जो कपड़ों की तरह अपने इरादों को
बहुत खुदगर्ज़ होते हैं बहुत मगरूर होते हैं ।।

तुम्हारे गाँव में आकर मैं इतना जान पाया हूँ,
सभी रिश्ते यहाँ पर प्यार से भरपूर होते हैं ।।

दिलों की इस शरारत को समझना है बहुत मुश्किल,
वही क्यूँ याद आते हैं जो हमसे दूर होते हैं ।।

  - Mahesh Katare Sugam

Similar Writers

our suggestion based on Mahesh Katare Sugam

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari