ik din tum roogi ghar waale bhi roenge
apne to apne baahar waale bhi roenge
tujhko maaloom nahin lekin tere marne par
naukar roega daftar waale bhi roenge
tum ab ke aur khutoot nahin bhejoge to phir
ai mere yaar kabootar waale bhi roenge
tum mujhko rone par majboor kabhi mat karna
main roya to mere ghar waale bhi roenge
इक दिन तुम रोओगी घर वाले भी रोएँगे
अपने तो अपने बाहर वाले भी रोएँगे
तुझको मालूम नहीं लेकिन तेरे मरने पर
नौकर रोएगा दफ़्तर वाले भी रोएँगे
तुम अब के और ख़ुतूत नहीं भेजोगे तो फिर
ऐ मेरे यार कबूतर वाले भी रोएँगे
तुम मुझको रोने पर मजबूर कभी मत करना
मैं रोया तो मेरे घर वाले भी रोएँगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kabir Altamash
our suggestion based on Kabir Altamash
As you were reading Friendship Shayari Shayari