buri baat ka kyun na inkaar karna
hamesha sadaqat ka iqraar karna
khule aasmaan mein kare jo muhabbat
sabhi kaash kahte use pyaar karna
zamaane misaalen kise ab pata hain
zamaane ki rangat ka iqraar karna
hifaazat bhari vo nazar aur hi hai
pata hai nigaahon se rukhsaar karna
bagaavat adavat kare jo hamesha
use khoob aata hai talwaar karna
bahaarein nazare bahaarein nazare
kabhi hum-nasheen ka hi deedaar karna
bayaan jo kiya hai kisi ne galat to
usi baat ka phir tirskaar karna
nigaahen jubaan ki samajh hai manohar
kisi ajnabi se na takraar karna
बुरी बात का क्यूँ न इनकार करना
हमेशा सदाक़त का इक़रार करना
खुले आसमाँ में करे जो मुहब्बत
सभी काश कहते उसे प्यार करना
ज़माने मिसालें किसे अब पता हैं
ज़माने की रंगत का इक़रार करना
हिफ़ाज़त भरी वो नज़र और ही है
पता है निगाहों से रुख़्सार करना
बग़ावत अदावत करे जो हमेशा
उसे ख़ूब आता है तलवार करना
बहारें नज़ारे बहारें नज़ारे
कभी हम-नशीं का ही दीदार करना
बयाँ जो किया है किसी ने ग़लत तो
उसी बात का फिर तिरस्कार करना
निगाहें जुबाँ की समझ है 'मनोहर'
किसी अजनबी से न तकरार करना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari