muflisi mein bhi bhalaai ke zamaane maange | मुफ़्लिसी में भी भलाई के ज़माने माँगे

  - Manohar Shimpi

muflisi mein bhi bhalaai ke zamaane maange
iztiraab-e-shauq milne ke bahaane maange

haal ye hai haarna to ab use hi hoga
aur jeene ke tareeqe vo purane maange

khoobsurat zindagi hai kyun na hanste gaate
muskuraate aur gaate vo taraane maange

log saare hi saleeqe ke liye hain tarse
waqt fursat se usi ke hi fasaane maange

raushni ham to charaagon se na sharminda the
aur tu din mein charaagon ko jalane maange

मुफ़्लिसी में भी भलाई के ज़माने माँगे
इज़्तिराब-ए-शौक़ मिलने के बहाने माँगे

हाल ये है हारना तो अब उसे ही होगा
और जीने के तरीक़े वो पुराने माँगे

ख़ूबसूरत ज़िंदगी है क्यों न हँसते गाते
मुस्कुराते और गाते वो तराने माँगे

लोग सारे ही सलीक़े के लिए हैं तरसे
वक़्त फ़ुर्सत से उसी के ही फ़साने माँगे

रौशनी हम तो चराग़ों से न शर्मिंदा थे
और तू दिन में चराग़ों को जलाने माँगे

  - Manohar Shimpi

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari