ik wahi subh-o-shaam hai qaisar
aur kya tujh ko kaam hai qaisar
ab to bas khud-kushi hi rasta hai
aur vo bhi haraam hai qaisar
ab yaqeen kis pe keejiega bhala
har koi khush-kalaam hai qaisar
ham ne chaaha tha toot kar us ko
khoob ye ittihaam hai qaisar
jis ke har she'r mein hai tu pinhaan
us hi shaair ka naam hai qaisar
beshak insaan hai khasaare mein
ye khuda ka kalaam hai qaisar
dekho jis zaaviye se dil-kash hai
vo to maah-e-tamaam hai qaisar
jab se dekha hai vo tan-e-'uryaan
har ghadi tishna-kaam hai qaisar
jabki muddat se mere saath nahin
kyun vo phir ham-khiraam hai qaisar
इक वही सुब्ह-ओ-शाम है 'क़ैसर'
और क्या तुझ को काम है 'क़ैसर
अब तो बस ख़ुद-कुशी ही रस्ता है
और वो भी हराम है 'क़ैसर'
अब यक़ीं किस पे कीजिएगा भला
हर कोई ख़ुश-कलाम है 'क़ैसर'
हम ने चाहा था टूट कर उस को
ख़ूब ये इत्तिहाम है 'क़ैसर'
जिस के हर शे'र में है तू पिंहाँ
उस ही शाइर का नाम है 'क़ैसर'
बेशक इंसान है ख़सारे में
ये ख़ुदा का कलाम है 'क़ैसर'
देखो जिस ज़ाविये से दिल-कश है
वो तो माह-ए-तमाम है 'क़ैसर'
जब से देखा है वो तन-ए-'उर्यां
हर घड़ी तिश्ना-काम है 'क़ैसर'
जबकि मुद्दत से मेरे साथ नहीं
क्यों वो फिर हम-ख़िराम है 'क़ैसर'
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Maroof Ashraf
our suggestion based on Meem Maroof Ashraf
As you were reading Insaan Shayari Shayari