sholon pe raqs karti ye shabnam hai zindagi | शोलों पे रक़्स करती ये शबनम है ज़िन्दगी

  - Meena Bhatt

sholon pe raqs karti ye shabnam hai zindagi
bharne ko zakhm zeest ke marham hai zindagi

faani jahaan mein rooh ka maatam hai zindagi
gar ho sukoon-e-dil to ye hamdam hai zindagi

ye dilnasheen hai aur mujassam hai zindagi
hain khwaahishein hazaaron magar kam hai zindagi

nafrat ke parde fenk do tum sab ukhaad kar
ulfat ke rang se hi ye qaayam hai zindagi

fitrat se praayoriti

pur-jahaan kii saazish se aajtak
bebas hai aur dekhiye puranam hai zindagi

zulm-o-sitam ko sah ke hamein tajurba hua
khushiyon ke saath gham kii ye sargam hai zindagi

saanson ka khel khatm aur mayyat umeed kii
rukhsat ye chaar kandon pe barham hai zindagi

शोलों पे रक़्स करती ये शबनम है ज़िन्दगी
भरने को ज़ख़्म ज़ीस्त के मरहम है ज़िन्दगी

फ़ानी जहाँ में रूह का मातम है ज़िन्दगी
गर हो सुकून-ए-दिल तो ये हमदम है ज़िन्दगी

ये दिलनशीं है और मुजस्सम है ज़िन्दगी
हैं ख़्वाहिशें हज़ारों मगर कम है ज़िन्दगी

नफ़रत के पर्दे फेंक दो तुम सब उखाड़ कर
उल्फ़त के रंग से ही ये क़ायम है ज़िन्दगी

फ़ितरत से पुर-जहान की साज़िश से आजतक
बेबस है और देखिए पुरनम है ज़िन्दगी

ज़ुल्म-ओ-सितम को सह के हमें तजरबा हुआ
ख़ुशियों के साथ ग़म की ये सरगम है ज़िन्दगी

साँसों का खेल ख़त्म और मय्यत उमीद की
रुख़्सत ये चार कंधों पे बरहम है ज़िन्दगी

  - Meena Bhatt

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari