apni aankhon ke samundar mein utar jaane de
tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de
ai naye dost main samjhoonga tujhe bhi apna
pehle maazi ka koii zakhm to bhar jaane de
zakhm kitne tiri chaahat se mile hain mujhko
sochta hoon ki kahoon tujh se magar jaane de
aag duniya kii lagaaee hui bujh jaayegi
koii aansu mere daaman pe bikhar jaane de
saath chalna hai to phir chhod de saari duniya
chal na paaye to mujhe laut ke ghar jaane de
zindagi maine ise kaise pirooya tha na soch
haar toota hai to moti bhi bikhar jaane de
in andheron se hi suraj kabhi niklega nazeer
raat ke saaye zara aur nikhar jaane de
अपनी आँखों के समुंदर में उतर जाने दे
तेरा मुजरिम हूँ मुझे डूब के मर जाने दे
ऐ नए दोस्त मैं समझूँगा तुझे भी अपना
पहले माज़ी का कोई ज़ख़्म तो भर जाने दे
ज़ख़्म कितने तिरी चाहत से मिले हैं मुझको
सोचता हूँ कि कहूँ तुझ से मगर जाने दे
आग दुनिया की लगाई हुई बुझ जाएगी
कोई आँसू मिरे दामन पे बिखर जाने दे
साथ चलना है तो फिर छोड़ दे सारी दुनिया
चल न पाए तो मुझे लौट के घर जाने दे
ज़िंदगी मैंने इसे कैसे पिरोया था न सोच
हार टूटा है तो मोती भी बिखर जाने दे
इन अँधेरों से ही सूरज कभी निकलेगा 'नज़ीर'
रात के साए ज़रा और निखर जाने दे
As you were reading Shayari by Meer Nazeer Baqri
our suggestion based on Meer Nazeer Baqri
As you were reading undefined Shayari