dhuaan bana ke fazaa mein uda diya mujhko
main jal raha tha kisi ne bujha diya mujhko
tarqqiyon ka fasana suna diya mujhko
abhi hansa bhi na tha aur rula diya mujhko
main ek zarra bulandi ko chhoone nikla tha
hawa ne tham ke zameen par gira diya mujhko
safed sang kii chadar lapet kar mujh par
faseel-e-shehr pe kis ne saja diya mujhko
khada hoon aaj bhi roti ke chaar harf liye
sawaal ye hai kitaabon ne kya diya mujhko
na jaane kaun sa jazba tha jisne khud hi nazeer
meri hi zaat ka dushman bana diya mujh ko
धुआँ बना के फ़ज़ा में उड़ा दिया मुझको
मैं जल रहा था किसी ने बुझा दिया मुझको
तरक़्क़ियों का फ़साना सुना दिया मुझको
अभी हँसा भी न था और रुला दिया मुझको
मैं एक ज़र्रा बुलंदी को छूने निकला था
हवा ने थम के ज़मीं पर गिरा दिया मुझको
सफ़ेद संग की चादर लपेट कर मुझ पर
फ़सील-ए-शहर पे किस ने सजा दिया मुझको
खड़ा हूँ आज भी रोटी के चार हर्फ़ लिए
सवाल ये है किताबों ने क्या दिया मुझको
न जाने कौन सा जज़्बा था जिसने ख़ुद ही 'नज़ीर'
मिरी ही ज़ात का दुश्मन बना दिया मुझ को
As you were reading Shayari by Meer Nazeer Baqri
our suggestion based on Meer Nazeer Baqri
As you were reading undefined Shayari