kuchh der saadgi ke tasavvur se hat ke dekh | कुछ देर सादगी के तसव्वुर से हट के देख

  - Meer Nazeer Baqri

kuchh der saadgi ke tasavvur se hat ke dekh
likkha hua varq hoon mujhe phir ult ke dekh

maana ki tujhse koii taalluq nahin magar
ik baar dushmanon kii tarah hi palat ke dekh

phir poochna ki kaise bhatkati hai zindagi
pehle kisi patang kii maanind kat ke dekh

ta-umr phir na hogi ujaalon kii aarzoo
tu bhi kisi charaagh kii lau se lipt ke dekh

sajde tujhe karegi kisi roz khud hayaat
baanhon mein haadsaat-e-jahaan kii simat ke dekh

tanhaaiyon mein saikron saathi bhi hain nazeer
hai shart apni zaat ke hisson mein bat ke dekh

कुछ देर सादगी के तसव्वुर से हट के देख
लिक्खा हुआ वरक़ हूँ मुझे फिर उलट के देख

माना कि तुझसे कोई तअल्लुक़ नहीं मगर
इक बार दुश्मनों की तरह ही पलट के देख

फिर पूछना कि कैसे भटकती है ज़िन्दगी
पहले किसी पतंग की मानिंद कट के देख

ता-उम्र फिर न होगी उजालों की आरज़ू
तू भी किसी चराग़ की लौ से लिपट के देख

सज्दे तुझे करेगी किसी रोज़ ख़ुद हयात
बाँहों में हादसात-ए-जहाँ की सिमट के देख

तन्हाइयों में सैकड़ों साथी भी हैं 'नज़ीर'
है शर्त अपनी ज़ात के हिस्सों में बट के देख

  - Meer Nazeer Baqri

More by Meer Nazeer Baqri

As you were reading Shayari by Meer Nazeer Baqri

Similar Writers

our suggestion based on Meer Nazeer Baqri

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari