ashk aankhon mein kab nahin aata | अश्क आँखों में कब नहीं आता

  - Meer Taqi Meer

ashk aankhon mein kab nahin aata
lohoo aata hai jab nahin aata

hosh jaata nahin raha lekin
jab vo aata hai tab nahin aata

sabr tha ek monis-e-hijraan
so vo muddat se ab nahin aata

dil se ruksat hui koi khwaahish
giryaa kuchh be-sabab nahin aata

ishq ko hausla hai shart arna
baat ka kis ko dhab nahin aata

jee mein kya kya hai apne ai hamdam
par sukhun ta-b-lab nahin aata

door baitha ghubaar-e-'meer us se
ishq bin ye adab nahin aata

अश्क आँखों में कब नहीं आता
लोहू आता है जब नहीं आता

होश जाता नहीं रहा लेकिन
जब वो आता है तब नहीं आता

सब्र था एक मोनिस-ए-हिज्राँ
सो वो मुद्दत से अब नहीं आता

दिल से रुख़्सत हुई कोई ख़्वाहिश
गिर्या कुछ बे-सबब नहीं आता

इश्क़ को हौसला है शर्त अर्ना
बात का किस को ढब नहीं आता

जी में क्या क्या है अपने ऐ हमदम
पर सुख़न ता-ब-लब नहीं आता

दूर बैठा ग़ुबार-ए-'मीर' उस से
इश्क़ बिन ये अदब नहीं आता

  - Meer Taqi Meer

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari