idhar se abr uth kar jo gaya hai
hamaari khaak par bhi ro gaya hai
masaib aur the par dil ka jaana
ajab ik saanehaa sa ho gaya hai
muqaamir-khaana-e-aafaq vo hai
ki jo aaya hai yaa kuchh kho gaya hai
kuchh aao zulf ke kooche mein darpaish
mizaaj apna udhar ab to gaya hai
sirhaane meer ke koi na bolo
abhi tuk rote rote so gaya hai
इधर से अब्र उठ कर जो गया है
हमारी ख़ाक पर भी रो गया है
मसाइब और थे पर दिल का जाना
अजब इक सानेहा सा हो गया है
मुक़ामिर-ख़ाना-ए-आफ़ाक़ वो है
कि जो आया है याँ कुछ खो गया है
कुछ आओ ज़ुल्फ़ के कूचे में दरपेश
मिज़ाज अपना उधर अब तो गया है
सिरहाने 'मीर' के कोई न बोलो
अभी टुक रोते रोते सो गया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Zulf Shayari Shayari