din nahin raat nahin subh nahin shaam nahin | दिन नहीं रात नहीं सुब्ह नहीं शाम नहीं

  - Meer Taqi Meer

din nahin raat nahin subh nahin shaam nahin
waqt milne ka magar daakhil-e-ayyaam nahin

misl anqa mujhe tum door se sun lo warna
nang-e-hasti hoon meri jaaye b-juz naam nahin

khatra raah-e-wafa balki bahut door khincha
umr guzri ki bahm naama-o-paighaam nahin

raaz-poshi-e-mohabbat ke tai chahiye zabt
so to be-taabi-e-dil bin mujhe aaraam nahin

be-qaraari jo koi dekhe hai so kehta hai
kuchh to hai meer ki ik dam tujhe aaraam nahin

दिन नहीं रात नहीं सुब्ह नहीं शाम नहीं
वक़्त मिलने का मगर दाख़िल-ए-अय्याम नहीं

मिस्ल अन्क़ा मुझे तुम दूर से सुन लो वर्ना
नंग-ए-हस्ती हूँ मिरी जाए ब-जुज़ नाम नहीं

ख़तर राह-ए-वफ़ा बल्कि बहुत दूर खिंचा
उम्र गुज़री कि बहम नामा-ओ-पैग़ाम नहीं

राज़-पोशी-ए-मोहब्बत के तईं चाहिए ज़ब्त
सो तो बे-ताबी-ए-दिल बिन मुझे आराम नहीं

बे-क़रारी जो कोई देखे है सो कहता है
कुछ तो है 'मीर' कि इक दम तुझे आराम नहीं

  - Meer Taqi Meer

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari