kis shaam se utha tha mere dil mein dard sa | किस शाम से उठा था मिरे दिल में दर्द सा

  - Meer Taqi Meer

kis shaam se utha tha mere dil mein dard sa
so ho chala hoon peshtar-az-subh sard sa

baitha hoon jun gubaar-e-zaeef ab vagarna mein
firta raha hoon galiyon mein aawaara-gard sa

qasd-e-tareeq-e-ishq kiya sab ne ba'd-e-qais
lekin hua na ek bhi us rah-navard sa

haazir yaraaq-e-be-mazgi kis ghadi nahin
ma'shooq kuchh hamaara hai aashiq-nabard sa

kya meer hai yahi jo tire dar pe tha khada
namanak-chashm-o-khushk-lab o rang zard sa

किस शाम से उठा था मिरे दिल में दर्द सा
सो हो चला हूँ पेशतर-अज़-सुब्ह सर्द सा

बैठा हूँ जूँ ग़ुबार-ए-ज़ईफ़ अब वगर्ना में
फिरता रहा हूँ गलियों में आवारा-गर्द सा

क़स्द-ए-तरीक़-ए-इश्क़ किया सब ने बा'द-ए-क़ैस
लेकिन हुआ न एक भी उस रह-नवर्द सा

हाज़िर यराक़-ए-बे-मज़गी किस घड़ी नहीं
मा'शूक़ कुछ हमारा है आशिक़-नबर्द सा

क्या 'मीर' है यही जो तिरे दर पे था खड़ा
नमनाक-चश्म-ओ-ख़ुश्क-लब ओ रंग ज़र्द सा

  - Meer Taqi Meer

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari