kya kahiye ki khooban ne ab ham mein hai kya rakha | क्या कहिए कि ख़ूबाँ ने अब हम में है क्या रखा

  - Meer Taqi Meer

kya kahiye ki khooban ne ab ham mein hai kya rakha
in chashm-siyaahon ne sudhrenge ko sula rakha

jalwa hai usi ka sab gulshan mein zamaane ke
gul phool ko hai un ne parda sa bana rakha

jun berg khizan-deeda sab zard hue ham to
garmi ne hamein dil ki aakhir ko jala rakha

kahiye jo tameez us ko kuchh achhe bure ki ho
dil jis kaso ka paaya chat un ne uda rakha

thi maslak-e-ulfat ki mashhoor khatarnaaki
main deeda-o-daanista kis raah mein pa rakha

khursheed-o-qamar pyaare rahte hain chhupe koi
rukhsaaron ko go tu ne burqa se chhupa rakha

chashmak hi nahin taazi sheve ye usi ke hain
jhamki si dikha de kar aalam ko laga rakha

lagne ke liye dil ke chhidka tha namak main ne
sau chaati ke zakhamon ne kal der maza rakha

kushte ko is abroo ke kya mel ho hasti ki
main taq buland oopar jeene ko utha rakha

qatai hai daleel ai meer us teg ki be-aabi
rehm un ne mere haq mein mutlaq na rawa rakha

क्या कहिए कि ख़ूबाँ ने अब हम में है क्या रखा
इन चश्म-सियाहों ने बहुतों को सुला रखा

जल्वा है उसी का सब गुलशन में ज़माने के
गुल फूल को है उन ने पर्दा सा बना रखा

जूँ बर्ग ख़िज़ाँ-दीदा सब ज़र्द हुए हम तो
गर्मी ने हमें दिल की आख़िर को जला रखा

कहिए जो तमीज़ उस को कुछ अच्छे बुरे की हो
दिल जिस कसो का पाया चट उन ने उड़ा रखा

थी मस्लक-ए-उल्फ़त की मशहूर ख़तरनाकी
मैं दीदा-ओ-दानिस्ता किस राह में पा रखा

ख़ुर्शीद-ओ-क़मर प्यारे रहते हैं छुपे कोई
रुख़्सारों को गो तू ने बुर्क़ा से छुपा रखा

चश्मक ही नहीं ताज़ी शेवे ये उसी के हैं
झमकी सी दिखा दे कर आलम को लगा रखा

लगने के लिए दिल के छिड़का था नमक मैं ने
सौ छाती के ज़ख़्मों ने कल देर मज़ा रखा

कुश्ते को इस अबरू के क्या मेल हो हस्ती की
मैं ताक़ बुलंद ऊपर जीने को उठा रखा

क़तई है दलील ऐ 'मीर' उस तेग़ की बे-आबी
रहम उन ने मिरे हक़ में मुतलक़ न रवा रखा

  - Meer Taqi Meer

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari