sair kar andaleeb ka ahvaal | सैर कर अंदलीब का अहवाल

  - Meer Taqi Meer

sair kar andaleeb ka ahvaal
hain pareshaan chaman mein kuchh par-o-baal

tab-e-gham to gai tabeeb wale
phir na aaya kabhu mizaaj-e-bahaal

sabza-nau-rasta rahguzar ka hoon
sar uthaya ki ho gaya paamaal

kyun na dekhoon chaman ko hasrat se
aashiyaan tha mera bhi yaa par-saal

sard-mehri ki bas-ki gul-roo ne
odhi abr-e-bahaar ne bhi shaal

hijr ki shab ko yaa tai tadpa
ki hua subh hote mera visaal

ham to sah guzre kaj-ravi teri
na nibhe par ai falak ye chaal

deeda-e-tar pe shab rakha tha meer
lukka-e-abr hai mera roomaal

सैर कर अंदलीब का अहवाल
हैं परेशाँ चमन में कुछ पर-ओ-बाल

तब-ए-ग़म तो गई तबीब वले
फिर न आया कभू मिज़ाज-ए-बहाल

सब्ज़ा-नौ-रस्ता रहगुज़ार का हूँ
सर उठाया कि हो गया पामाल

क्यूँ न देखूँ चमन को हसरत से
आशियाँ था मिरा भी याँ पर-साल

सर्द-मेहरी की बस-कि गुल-रू ने
ओढ़ी अब्र-ए-बहार ने भी शाल

हिज्र की शब को याँ तईं तड़पा
कि हुआ सुब्ह होते मेरा विसाल

हम तो सह गुज़रे कज-रवी तेरी
न निभे पर ऐ फ़लक ये चाल

दीदा-ए-तर पे शब रखा था 'मीर'
लुक्का-ए-अब्र है मिरा रूमाल

  - Meer Taqi Meer

Dushmani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Dushmani Shayari Shayari