itna majboor na kar baat banaane lag jaaye
ham tere sar ki kasam jhooth hi khaane lag jaaye
itne sannaate piye meri samaat ne ki ab
sirf aawaaz pe chaahoon to nishaane lag jaaye
main agar apni jawaani ke suna doon qisse
ye jo launde hain mere paanv dabane lag jaaye
इतना मजबूर न कर बात बनाने लग जाए
हम तेरे सर की क़सम झूठ ही खाने लग जाए
इतने सन्नाटे पिए मेरी समा'अत ने कि अब
सिर्फ़ आवाज़ पे चाहूँ तो निशाने लग जाए
मैं अगर अपनी जवानी के सुना दूँ क़िस्से
ये जो लौंडे हैं मेरे पाँव दबाने लग जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mehshar Afridi
our suggestion based on Mehshar Afridi
As you were reading Jawani Shayari Shayari