aamad-e-sailaab-e-toofaan-e-sadaa-e-aab hai | आमद-ए-सैलाब-ए-तूफ़ान-ए-सदा-ए-आब है

  - Mirza Ghalib

aamad-e-sailaab-e-toofaan-e-sadaa-e-aab hai
naqsh-e-paa jo kaan mein rakhta hai ungli jaada se

bazm-e-may wahshat-kada hai kis ki chashm-e-mast ka
sheeshe mein nabz-e-paree pinhaan hai mauj-e-baada se

dekhta hoon wahshat-e-shauq-e-kharosh-aamada se
faal-e-ruswaai sarishk-e-sar-b-sehra-dada se

daam gar sabze mein pinhaan kijie taaoos ho
josh-e-nairang-e-bahaar arz-e-sehra-dada se

khema-e-laila siyaah o khaana-e-majnoon kharab
josh-e-veeraani hai ishq-e-daag-e-bairoon-dada se

bazm-e-hasti vo tamasha hai ki jis ko ham asad
dekhte hain chashm-e-az-khwab-e-adam-nakushaada se

आमद-ए-सैलाब-ए-तूफ़ान-ए-सदा-ए-आब है
नक़्श-ए-पा जो कान में रखता है उँगली जादा से

बज़्म-ए-मय वहशत-कदा है किस की चश्म-ए-मस्त का
शीशे में नब्ज़-ए-परी पिन्हाँ है मौज-ए-बादा से

देखता हूँ वहशत-ए-शौक़-ए-ख़रोश-आमादा से
फ़ाल-ए-रुस्वाई सरिश्क-ए-सर-ब-सहरा-दादा से

दाम गर सब्ज़े में पिन्हाँ कीजिए ताऊस हो
जोश-ए-नैरंग-ए-बहार अर्ज़-ए-सहरा-दादा से

ख़ेमा-ए-लैला सियाह ओ ख़ाना-ए-मजनूँ ख़राब
जोश-ए-वीरानी है इश्क़-ए-दाग़-ए-बैरूं-दादा से

बज़्म-ए-हस्ती वो तमाशा है कि जिस को हम 'असद'
देखते हैं चश्म-ए-अज़-ख़्वाब-ए-अदम-नकुशादा से

  - Mirza Ghalib

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari