afsos ki dandaan ka kiya rizq falak ne
jin logon ki thi dar-khur-e-aqd-e-guhar angusht
kaafi hai nishaani tira challe ka na dena
khaali mujhe dikhla ke b-waqt-e-safar angusht
likhta hoon asad sozish-e-dil se sukhan-e-garm
ta rakh na sake koi mere harf par angusht
अफ़्सोस कि दंदाँ का किया रिज़्क़ फ़लक ने
जिन लोगों की थी दर-ख़ुर-ए-अक़्द-ए-गुहर अंगुश्त
काफ़ी है निशानी तिरा छल्ले का न देना
ख़ाली मुझे दिखला के ब-वक़्त-ए-सफ़र अंगुश्त
लिखता हूँ 'असद' सोज़िश-ए-दिल से सुख़न-ए-गर्म
ता रख न सके कोई मिरे हर्फ़ पर अंगुश्त
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Sorry Shayari Shayari